Tuesday 28 May 2013

Muslim Saleem – Seh ghazla – May 25, 2013

MOHABBAT FORUM KAY 25 MAY KAY TARHI MUSHUARE KAY LIYE MUSLIM SALEEM KA SEH GHAZLA. MISRA-E-TARAH “UBAR RAHI HAI CHIRAGHON MEIN PHIR CHAMAK KOI”

NA KUCHH MIZAJ MEIN NARMI, NA HAI LACHAK KOI
TO UNKAY SAATH CHALE KAISAY DOOR TO KOI
THI LA-SHAOOR MEIN AAHAT KISI KAY QADMAON KI
PALAT KAY DEKHA, NA THA DOOR-DOOR TAK KOI
WO SIRF YAAD THI, LEKIN SHADEED THI ITNI
KAY JAISAY AA GAYA PEHLOO MAIN YAK-BAYAK KOI

TRIBTE TO MUSLIM SALEEM BY NADEEM AKHTAR NADEEM

TRIBTE TO MUSLIM SALEEM BY PIRZADA NADEEM AKHTAR NADEEM MANGANAVI, LONDON.
 
URDU ME AIK NAAM HaY MUSLIM SALEEM KA
JIDDAT GHAZAL ME KAAM HAY MUSLIM SALEEM KA.
  • Syed Zia Rizvi URDU ADAB MEn BARHA NAM HAI MUSLIM SALEEM KA.SAHAFAT MEn BARHA MUQAM HAI MUSLIM SALEEM KA.URDU ZUBAN KI BAQA KE LIYE BARHA KAM HAI MUSLIM SALEEM KA. XUDAWAND KAREEM UNHEn AUR UNKI FAMILY KO APNI HIFZ-O-AMAAN MEn RAKHE.SHAD AUR ABAAD RAKHE AMEEN SUM AMEEN.

Muslim Saleem - Ghazal - May 25, 2013

Thursday 16 May 2013

ZIA ROOMANI ON MUSLIM SALEEM



(Noted short-story writer and vice-principal of Al-Ameen Dr. Mumtaz Ahmed Khan PU College, Kolar, Karnataka (India) has lauded Muslim Saleem’s service to Urdu and his poetry in following words)
      Mohtarmi Muslim Saleem ki shakhseeyat jab bhi yaad aati hai labon pey alfaz machal jathey hain: "Muslim Saleem saheb to ek anmol tehreek, musalsal jadd-o-jahad, khaerkhwah-e-qaum-o millat aur wafashuar khadim-e-Urdu zaban ka naam hai."