Wednesday, 9 April 2014

MUSLIM SALEEM - Do ashaar

ULFAT MAIN MUBTALAA THAA TO MUHLAT NAHEEN MILI
 

NAFRAT KE WAASTE MUJHAY FURSAT NAHEEN MILI

 

AAKHIRI HAYAAT PAAYEE JAHANNAM KI AAG MAIN


KHUD KUSH NAY LAKH CHAHA, SHAHADAT NAHEEN MILI

Ghazal - Muslim Saleem

SHAAKH-E-IMKAAN PAR GUL KHILA HAI
 
KOI HANS KAR MUJHAY DEKHTA HAI


DAUR-E-HAAZIR KA YEH MAAJRAA HAI
 
DAHN-E-SHAITAAN PE NAAM-E-KHUDA HAI


MUNTHAB KHUD ANDHERA KIYAA HAI
 
AUR PHIR RAUSHNI SE GILAA HAI


SAANP KA AB TO BACHNAA HAI MUSHKIL
 
KOI INSAAN USAY DAS GAYAA HAI