Tuesday, 30 April 2013

International Tarhi Mushaira on Muslim Saleem’s misra


April 28, 2013
An international tarhi Mushaira was held online on Faceboom by Mohabbat Group. Misra-e-tarah was “HAALANKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADEN TAMAAM” from Muslim Saleem’s ghazal. Muslim Saleem presided over the Mushaira where Mrs. Mumtaz Nazan was the chief guest. Mohabbat Group’s organiser Tauqeer Zaidi conducted the proceedings. The Mushaira began with sadre-e-mushaira giving permission to start it at 8 pm,
The Mushaira concluded with sadarti address by Muslim Saleem at 11 pm. Following is the ghazal of Muslim Saleem misra of which was made tarha in the Mushaira
JAB JAB BHI ZINDAGI KI GINEEN RAHATEN TAMAAM
LAMHAAT MEIN SIMAT SI GAYEEN MUDDATEN TAMAAM
WO DEKHNAY MEIN AB BHI TANAWAR DARAKHT HAI
HAALANKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADEN TAMAAM
MAIN AUR EHTIJAAJ KI HIMMAT, NAHEEN NAHEEN!
BE IKHTIYAR CHHEKH PADEEN HAIN RAGEN TAMAAM
AASAR-E-KARB SAB SAY CHHUPATA PHIRA MAGAR
BISTAR PAY NAQSH HO HI GAYEEN KARWATEN TAMAAM
HAR BAAR YOON LAGA KE KOI AAYEGA, MAGAR
KUCHH DOOR HI SAY LAUT GAYEEN AAHATEN TAMAAM
WO KHUD YEH CHAHATA THA, YEH MAHSOOS TAB HUA
HAM BEKHUDI MEIN TOD GAYE JAB HADEN TAMAAM
Those who participated in the Mushaira in alphabetical order included
Abu Obaida Azmi,
JAB KAR CHUKA OBOOR SAFAR KI HADE”N TAMAAM
MUJHKO SADAE”N DENE LAGI”N MAZNILE”N TAMAAM
ALLAH KAR DE ISHQ KI SAB HUJJATE”N TAMAAM
SEENE ME US KE RAKH DE MERI DHADHKANE”N TAMAAM
KAR KE SALAAM MAIN JO MILA HOON KHOLOOS SE
DUSHMAN BHI MERA BHOOL GAYA RANJISHE”N TAMAAM
PAIDA KIYA HAI MAINE MOHABBAT ME WO ASAR
MERA TAWAAF KARNE LAGI”N GARDISHE”N TAMAAM
HAMLA KIYA HAI DARD NE KUCH DIL PE IS TARAH
DUKHNE LAGI HAIN MERE BADAN KI RAGE”N TAMAAM
AAKHIR OBAIDA MAUT NE RISHWAT NAHI LIYA
KUCH KAAM MERE AA NA SAKI”N DAULATE”N TAMAAM

Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi,
Yeh daemi nahiN haiN meri mushkileiN tamam
Laut aaeiN gi bafazl e Khuda rahatein tamam
Mahfooz lauh e dil pe haiN woh sa’ateiN tamam
Yaad aa rahi haiN aaj bhi woh raunaqeiN tamam
Tahtushshaoor meiN hai abhi tak woh tamtaraq
” Haalaa’N ki waqt khood chuka hai jadeiN tamam”
Ab be asar haiN gardish haalaat ke sitam
Kar di haiN us ne zulm ki sari hadeiN tamam
Har lamha de raha hooN musalsal ek imtehaaN
Sabr aazma haiN zeest ki yeh uljhneiN tamam
Har waqt zad pe Barq ki hai mera aasiyaaN
Jeene na deiN gi kya mujhe yeh wahshateiN tamam
Ek lamha mujh ko neend na aaii shab e firaq
Jis ki gawah haiN yeh meri karwateiN tamam
Dar hai na toot jaye kahiN taar e zindagi
HaiN murtaish wajood ki mere rageiN tamam
Kab tak dayar e shauq meiN KhaooN main thokareiN
Kar dein kahin na kaam mera laghzisheiN tamam
Hai khwahishat e nafs ka ek silsila taveel
JaeiN gi mere saath hi yeh hasratein tam
Yeh badgumaniyoN ka maraz bhi ajeeb hai
Kab hongi door zehn se yeh nafrateiN tamam
Muslim saleem ki yeh zameen dilnasheen hai
Jin ki azeez tar haiN mujhe kavisheiN tamam
Barqi shab e firaq ki hogi sahar zaroor
HaiN zindagi ki zood guzar zulmateiN tamam
Ahmad Ali Khan,
Munkir Hai Jo Uspar Hai Teri Rahmate’n Tamaam,,,,
Hai Raahe- Haq Walo Ke Liye Zahmate’n Tamaam,,,,
Kya Ham Hi Gye Guzre Hai’n Makhluq Me Sab Se,,,,
Jo Ham Pe Hi,,,,Aa Tootti Hai’n Aafate’n Tamaam,,,,
Tum Data, Ghani Ho,,,, Zara Duniya Bhi To Dekhe,,,,
Ham Pe Bhi Luta Do Jaha’n Ki Daulate’n Tamaam,,,,
Chadhte Huye Suraj Ko,,,,, Phir Dhalna Bhi Padega,,,,
Maninde Dhoop-Chhao’n Hai y Shohrate’n Tamaam,,,,
Mashiyate – Rab Se,,, Wo Shajar Phir Bhi Hara Hai,,,,
Hala’nke Waqt ,,, Khod Chuka Hai Jade’n Tamaam,,,,
Qaume’n Thi’n Uske Sath Jab Wo Tanha Lad Gaya,,,,
Thak-Haar,,,,Ghar Ko Laut Gayi’n Taqate’n Tamaam,,,,
Malbey Me Ja Samae ,,,,,,,,,, Jis Pal Dhadkane- Hasti,,,,
Khamosh Hoke Reh Gae’n Cheekh, Aahate’n Tamaam,,,,
Chaho To Le Lo Chain-O-Sukoo’n Palko Ki Ninde’n,,,,
Mere Naam Kar Do,,,,,Bekali Ki Karwate’n Tamaam,,,,

Alia Taqvi Allahabadi

انسان کے بیچ فرق کو آءو کریں تمام

مذ ہب کی ،رنگ و نسل کی توڑیں حدیں تمام
اللہ نے بناءی تھی بس ایک ہی زمین
انسان نے بناءی ہیں کیوں سرحدیں تمام
صیاد نے اجاڑ دیا آشیانوں کو
لو چھوڑ کے چمن کو چلیں بلبلیں تمام
باقی ہیں اب بھی سطوت ماضی کےکچھ نشاں
حالانکہ وقت کھود چکا ہے جڑیں تمام
آساں نہیں اٹھانا کہ دکھ بھاری بوجھ ہے
کچھ دوستوں میں باںٹ دیں دل پرنہ لیں تمام
ہوں گے وہ ملتفت ہے مجھے عالیہ یقیں
اے کاش حال دل وہ کبھی تو سنیں تمام

Ashok Goyal,

“हालांकि वक़्त खोद चुका है जड़ें तमाम “
जाती नहीं जहां से मगर ज़ुल्मतें तमाम .
दो लफ़्ज़ हैं ये इश्क़ -ओ -मुहब्बत के नाम के .
कब से तमाम हो चुकी हैं उल्फ़तें तमाम .
शायद के वक़्त से अभी ,नाआश्ना है तू .
ज़र्रा-ए-गर्द सी हैं तेरी वुसअतें तमाम .
इन मौसमों से वो कभी गुज़रा है चश्मतर .
जब से बरसना भूल गईं बारिशें तमाम .
शायद के चाँद आज भी लौटा नहीं है घर .
सहमी हुईं हैं सुब्ह से ही खुशबुयें तमाम .
ईमान भी है वो मेरा ,वो ही यक़ीन है .
तो ठोकरों में रहती हैं अब मन्ज़िलें तमाम .

(DUE TO HIS GHAZAL BEING IN UNICODE, IT COULD NOT BE POSTED HERE)
Ansar Bijnori,
Mehma’n hain do ghadi ki meri dhadkane’n tamam,
Lillah tod deejiye ab bandishe’n tamam.
Sajti hain yu’n to aaj bhi bin tere roz o shab,
Veeran ho gayi hain magar mehfile’n tamam,
Mumkin nahi khareed le’n ek lamhye sukoo’n,
Hasil ho lakh dolat o shohrat hame’n tamam.
Rasmam sahi milate raho hath dosto,
Ek roz mit hi jaye’ngi ye ranjishe’n tamam.
Thi pheeki pheeki sahn e gulista’n ki ronaqe’n,
Jab tak aseer e zulf rahi khushbuye’n tamam.
Ye kiske naqsh e paa pe qadam rakh diya k aaj,
Qadmo’n me aake thahr gayi’n manzile’n tamam.
Hairaan saare dushman o ehbaab hain mere,
Aasan huwi hain kaise meri mushkile’n tamam.
Likkho waha’n kya haal hai mere bina sanam,
Hain bin tere udaas yaha’n par rute’n tamam.
“Ansar” udegi pyar ki khushboo jahan me,
Dil se mita ke dekh zara nafrate’n tamam.
Faisal Nawaz
Tere bina udaas huein…………… mehfilein tamaam
Dil mein tadap rahi hain mere…. hasratein tamaam
Tere wajood ka nahien milta……………. koi suraag
Halaanke waqt khod chukka hai….. jadein tamaam
Ankhoon mein meri raqsaan hain naqshe jahan ke
Apne he ghar ki milti nahien hain.. hadein tamaam
Arzo-sama ho ya ke wo ho……… behre-be-karaan
Bikhri hain har taraf he teri…… rehmatein tamaam
Dhadkan ke sath hum tere dil mein dhadrak pade
Humko na rouk payein teri……. sarhadein tamaam
“Faisal” mughe wo chod ke jab se …… chala gaya
Mughko qadam-dadam pe milein mushkilein tamam
Haris Bilal,
Jab naik mairey saath rahe’n sohbate’n tamam,
Kis ney bigaar di hain mri aadate’n tamam,
Naadaniya’n gunah banati hai’n ishq ko,
paida yahe’n sey hoti hain phir ranjishe’n tamam,
Un per asar na kuch bhi mohabbat ka ho saka,
pazmurda ho chali hain mri minate’n tamam,
Jab sey wo mairi fikr ki mehfil me aagaey,
Hairat sey tak rahe’n hain mujy mehfilai’n tamam,
Har ik zuba’n pey fahsh kalaami ka dor hy,
Majrooh jis sey honey lage’n azmate’n tamam,
Dekha to har qadam pey nai mushkile’n mile’n
HARIS na bhool jaon kahen raahate’n tamam…!!!
Majeed Taj Baloch,
ISHQ E KHUDA SE MILTI HAIN NEHMATE’N TAMAAM,
KHUD HI NAAZIL HOTI HAIN REHMATE’N TAMAAM,
DIL TO KHUDA KA GHAR HAY JO DEKHAY TU GHAOR SE
NIKAAL DO ISS SE AB KUDOORATE’N TAMAAN
AB KUCH AOR KEHNAY KI ZAROORAT NAI MUJHAY
KHATAM KAR DO AAPS KI ADAWATE’N TAMAAM
BHAHI HI APNAY BHAHI KA DUSHMAN HAY AB YAHAAN
KHATM HO GAHEEN ZAMANAY MEN MOHABBATE’N TAMAAN
DO WAQT KI ROTI BHI GHAREEBOON SE KIUN HAY DOOR
KAHAAN GAHEEN JAHAA’N KI WO SAKHAWATE’N TAMAAM
JITNA BHI DOOR JAHEN HUM DEEN SE AGAR
ISHQ E KHUDA KI DOOR HOTI HAIN HUM SE HADE’N TAMAAM
KIUN IK DOOSRAY KO MAARNAY PAY HAIN TULAY HUHE
AAHO AB KHATM KAR DEN YE NAFRATE’N TAMAAM
KHAOF E KHUDA KA HUM PAR KUCH TO HO ASAR
ABB TO CHOR DAALEN BURI AADATE’N TAMAAM
GAR JHOOT BOL KAR JO JAHANN MEN HON KAAMYAAB
KIS KAAM KE HAIN AB SADAQATE’N TAMAAM
HUM KO LADA DIYA HAY HAMARAY HI BHAHIUN SE
DUSHMANON KI HAIN YE SHARAARATE’N TAMAAM
DEEWAANAGI PAY MERI KOHI TO DHAYAAN DE
PINHAAN RAHTI HAIN PYAAR KI MUJH ME JADE’N TAMAAM
PAAGAL HO NA JAHOON TERE ISHQ MEN AHE MERE HAMSAFAR
AAWAAZ TERI HI LAGTI HAIN AB AAHATE’N TAMAAM
AB TO MAJEED YUN LAGAY KE ZINDAA’N ME MEN RAHOON
RAAS NA AAHEE’N MUJHKO MERI KHASLATE’N TAMAAM
Mohammed Farhathullah Khan,
insaan dekho karne laga jurrateN tamaam
shaayad Daraati nahiN….ibrateiN tamaam
ghamkhwaar bheegi raat ye bistar udaas hai
dekho shab e firaaq ki ye silwaTeN tamaam
dil muztarib………..ye rooH ki bechainiyaaN jo thiN
hum peeche chhoD aaye haiN ye kulfateN tamaam
dekheN jo aas paas….lagega tumhe yahaN
insaaniyat se TooT gayiN nisbateN tamaam
Farhat! ghalat huiN haiN yaqeenan hi harkateN
kho hi gayiN haiN dahr se ab barkateN tamaam
Mumtaz Naza,
ik ek kar ke toot gaiN nisbateN tamaam
aao, to phir fasaana bhi ye ab kareN tamaam
ye kaun sa maqaam rifaaqat ka hai, jahaN
gum faasloN meN hone lagiN qurbateN tamaam
zanjeer koi rok na paaegi ab hameN
ab ke junoon tod chuka hai hadeN tamaam
mazloom bhi hamiN hain, khatawaar bhi hamiN
rakh do hamaari jaan pa hi tohmateN tamaam
yaadoN ki sarzameeN pa wo toofaaN utha, ke bas
ik ek kar ke khulne lagi haiN taheN tamaam
aaine meN jo khud se mulaaqaat maiN karuN
qisse hazaar kehti raheN salwateN tamaam
de kar gaya hai karb-o-azeeat hazaarhaa
nazraana leN hi kyuN? use lauta na deN tamaam?
phalte rahenge phir bhi mohabbat ke kuchh shajar
“halaanke waqt khod chuka hai jadeN tamaam”
jis par pade, wo jaane ke hota hai dard kya
“Mumtaz” rehne dijiye ye mantaqeN tamaam
Naseem Nigar Hind,
Duniya me tabaah ho gayiN mohabbateN tamaam!!
Ab chhaa gayiN diloN pe siyah nafrateN tamaam!!
Lekar fasaad aaya hai daur-e-jadeed ye,,
Kar kar ke ek aati hai ab aafateN tamaam!!
Roti dawa se mehngi hai kapdoN ki khair kiya,,
Gurbat me mehngi ho gayi ghar ki chhateN tamaam!!
Jabse tu dilruba bani ae daur-e-taraqqi,,
Qurbaan tujhpe ho gayi hai raahateN tamaam!!
Khaaki me chhupe chor aur daaku safed posh,,
Looti haiN mulk ki inhone daulateN tamaam!!
Ab zaalimo pe daageN hai hamne qalam ke teer,,
Lut ti hai to lut jaaye siyaah asmateN tamaam!!
Haalat me aisi karte bhi AFROZ aur kiya,,
Jab aapadi to tod di hamne hade tamaam!!
Purshottam Abbi Azer,
Tere bachi hain haath men bus rehamte tamaam
Haalanke waqt khod chuka hai jaden tamaam
Aasan hon to kase hon yeh mushkilen tamaam
Muhn ko khadi hain khol ke rukavaten tamaam
Aati hai neend mushkilon se uljhane tamaam
Din–raat chahey let ke lo karvaten tamaam
Bistar gavahi de raha hai pichli raat ki
Chaadar pe aa rahi hain nazr silvaten tamaam
Raunak harek saksh ke chehre pe khil uthi
Barsi azal se jaise hon inaayaten tamaam
Dar par lagi hai bheed ya vehmon- gumaan hai
Kano men kahan se pad rahi hain aahaten tamaam
“Azer “ teri muraad bhi puri karega rab
Sabke dilon se hongi fana nafraten tamaam

Razia Kazmi

حالات سے بعید نہیں پھر اٹھیں تمام

حا لانکہ وقت کھود چکا ہےجڑیں تمام

خود آپ بے وفائی کی کرکےحدیں تمام

وہ دھررہےہیں میرے ہی سرتہمتیں تمام

کرنا ہے خود کشی تو کرو،گو گناہ ہے

کیا یہ روا ہے ساتھ تمہارے مریں تمام

یہ ہے مثل کہ سونا کسے آدمی بسے

اب اس کےشخصیت کی کھلیں گی تہیں تمام

کج رو کی ہمرہی سے ہے بہترعلیحدگی

ہو راہ مستقیم تو مل کر چلیں تمام۔۔۔۔۔۔۔۔۔

ہوتی تسلّیٔ دل مایوس اس طرح۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

ہوتیں نہ ہم رکاب اگر الجھنیں تمام۔۔۔۔۔۔۔

جو آج میرے ساتھ ہوا گو بھلا نہ تھا

یہ تو بھلا ہوا کہ ہوئیں اٹکلیں تمام۔۔۔۔

جن پرٹکی ہے آج کی تہذیب ،سوچئے

کل کیا ہوٹھپ جوہونےلگیں وہ کلیں تمام

منزل قریں ہے راہ سفر ختم ہوچکی۔۔

کیجئےرضیہ شکر، ہوئیں مشکلیں تمام

Sahil Rizvi,
SADRE MOHTARAM JANABE MUSLIM SALEEM AUR OTHER MEMBERS KI KHIDMAT MEIN YE MERI GHAZAL
IZZAT NAHI BADEY KI BUZURG KA NA EHTERAAM
INSANIYAT NE PAAR KARI HAI’N HADE’N TAMAAM
DUNIYA MEIN AB MOHABBAT O IKHLAQ HAI KAHA’N
MUJHKO DIKHAI DE RAHI HAI’N SARHADE’N TAMAAM
IS DAUR KI BURAI SE YA RAB TU BACHALE
SAMJHU’NGA MIL GAYI HAI’N MUJHE RAHATE’N TAMAAM
CHAHTA HU’N MAI’N BURAYI KA PEDH NA UGNE DOO’N
HALAKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADE’N TAMAAM
KIRDAAR PAAK RAKHO , DEKHO YE CHAMATKAAR
AAYENGI PHIR CHALKE KHUD JANNATE’N TAMAAM
MUJHKO AQEEDA HAI MERE DIL KO HAI ITMINAAN
POORI KAREGA MERI KHUDA HASRATE’N TAMAAM
MAINE ALI ( MAULA ALI A.S. ) KA NAAM JO LENA KIYA SHUROO
KHUD RAASTEY SE HATNE LAGI MUSHKILE’N TAMAAM
ARMAAN BHARI KASHTI KO MIL JAYE JO ” SAHIL “
HONE LAGEY POORI KHUD KHWAHISHE’N TAMAAM
Shariq Aijaz Abbasi,
Ulfat kabhi hui toe kabhi nafrateiN tamaam
YuN hi chala yeh khel lagiN tohmateiN tamaam
Jab muNh phula ke kar gaye woh dosti tamaam
Humko samajh meiN aagayeiN apni hadeiN tamaam
HalaNke humne maan li unki har ek baat
Kam ho na paaeiN phir kahiN aafateiN tamaam
Chhoda nahiN hai humne abhi daaman-e-ummeed
“HalaNke waqt khod chuka hai jadeiN tamaam”
Bachpan ka woh junoon woh zid woh shararteiN
HaiN yaad ab bhi maaN ko meri harkateiN tamaam
MaiN khush huN roz-e-marg jo aane laga qareeb
Hone chaliN haiN ab toe meri mushkileiN tamaam
‘Shariq’ na kar ummeed-e-wafa doston se aaj
HaiN daur-e-badgumaaN mitiN nisbateiN tamaam
Sabila Inam Siddique
HAIN IRD GIRD PHAILI HOIE’N SAZISHAI’N TAMAM
HER AIK QADAM PAY MUJH KO MILI’N GARDISHIN TAMAM
PARDA MAIN KAISAY US K GUNAHO PAY DAL DO’N?
QADMO KI CHAP JIS KI KAHAY LAGHZISHI’N TAMAM
LAFZO KI HAIR PHAIR MAIN ITNA KHAYAL RAKH
CHAHRAY KI UR NA JAIE’N KAHI’N RONAQI’N TAMAM
RISHTO’N KO JORNAY KA HUNAR AAHI JAIAY GA
PAHLAY DILO SAY DOR KARO NAFRATAI’N TAMAM
KAHTAY HOWAY ZABAN SAY DARTHI HO’N HALAY DIL
APNO KI MIT NA JAI’N KAHI’N AZMATAI’N TAMAM
KHANJAR CHALA K APNAY HI YARO’N K PIT PER
KIS KO MILI’N JAHA’N MAIN KABHI ULFATAI’N TAMAM?
BAIDAR HO CHUKA HO AGR SHOQAY AAGAHI
CHOMAI’N GI NAQSHAY PA KO TRI MANZILAI’N TAMAM
AY ZINDAGI FRAIB TRA KHA K AB TU HUM
DUNYA KI CHOR DAIN GAY HASI’N MAHILAI’N TAMAM
US LA SHARIK RAB SAY SABILA DUA YE HAY
ABARY KARAM KI TUJH PAY KRAY BARISHAI’N TAMAM
Syed Faizuddin,
SADRE MOHTARAM JANABE MUSLIM SALEEM AUR OTHER MEMBERS KI KHIDMAT MEIN YE MERI GHAZAL
IZZAT NAHI BADEY KI BUZURG KA NA EHTERAAM
INSANIYAT NE PAAR KARI HAI’N HADE’N TAMAAM
DUNIYA MEIN AB MOHABBAT O IKHLAQ HAI KAHA’N
MUJHKO DIKHAI DE RAHI HAI’N SARHADE’N TAMAAM
IS DAUR KI BURAI SE YA RAB TU BACHALE
SAMJHU’NGA MIL GAYI HAI’N MUJHE RAHATE’N TAMAAM
CHAHTA HU’N MAI’N BURAYI KA PEDH NA UGNE DOO’N
HALAKE WAQT KHOD CHUKA HAI JADE’N TAMAAM
KIRDAAR PAAK RAKHO , DEKHO YE CHAMATKAAR
AAYENGI PHIR CHALKE KHUD JANNATE’N TAMAAM
MUJHKO AQEEDA HAI MERE DIL KO HAI ITMINAAN
POORI KAREGA MERI KHUDA HASRATE’N TAMAAM
MAINE ALI ( MAULA ALI A.S. ) KA NAAM JO LENA KIYA SHUROO
KHUD RAASTEY SE HATNE LAGI MUSHKILE’N TAMAAM
ARMAAN BHARI KASHTI KO MIL JAYE JO ” SAHIL “
HONE LAGEY POORI KHUD KHWAHISHE’N TAMAAM
Tauqeer Zaidi,
AY ! ZINDAGI HUI HAI’N TERI MEHILE’N TAMAAM,
DIN HO GAYE TAMAAM, HUI HAI’N SHABE’N TAMAAM,
MUTHTHI SE MISLE-REIT KE PHISLI JO ZINDAGI,
HATHO’N KO APNE MALTI RAHI’N TAKHATE’N TAMAAM,
TOUDA HAI DAM LAHU NE RAGO’N ME’N KUCH ES TARAH,
KUMLA KE REH GAYI HAI’N BADAN KI RAGE’N TAMAAM,,
HAI LUTA HAI ES TARAH DHADKAN KA QAFILA,,
DIL KI HAMARE HO GAYI HAI’N AAHATE’N TAMAAM,
MUJKHO AJAL NE QABR ME’N LAKAR SULA DIYA,
BIKHRI HUI HAI’N GHAR ME’N MERI HASRATE’N TAMAAM…
MARNE KE BAAD KAISI HUI QADRO-MANZILAT,
DUNIYA LAGA RAHI HAI MERI QEEMATE’N TAMAAM,
JOSHE-JUNOO’N BHI SO GAYA DHADKAN KE SATH-SATH
SOYI’N HAI’N GEHRI NEEND ME’N TAN KI RAGE’N TAMAAM,
DUNIYA ME’N CHALTI-PHIRTI HAI’N LASHE’N JAGAH-JAGAH,
INSA’N KE SATH-SATH GAYI’N RAUNAQE’N TAMAAM,
PEHLE TALASH KARTE THHE MANZIL KO RAAHRU,
AB RAAHRU KO DHOONDHTI HAI’N MANZILE’N TAMAAM,
” TAUQEER ” KAINAAT KI RAUNAQ ISI SE HAI,
KYO’N DAASTANE-ISHQO-MOHABBAT KARE’N TAMAAM..
This entry was posted in poetry. Bookmark the permalink. Edit

6 Responses to International Tarhi Mushaira on Muslim Saleem’s misra

  1. Bahut Khoobsoorat Report Tayyar Ki Hai, Umeed karta hun es tarah ke yaadgaar online Internation Mushyere Mohabbat Group Me’n Hote Rahenge,, Agar Muslim Saleem Sahab Ki Rehbari Rahi,,,
  2. Majeed Taj Baloch says:
    Bahut hi umda aor qaabil e sataahish koshish hay. Umeed hay aahinda bhi ye silsila jaari rahega.
    Mushahiray ki shaandaar kaamyaabi par aap sab ko murakbaad qubool ho.
    Dua go.
    Lala Majeed Taj Baloch
    • muslimsaleem says:
      Waqai, mushaira bahut shandar raha.
      Is kay iniqaad aur kamyabi ka sehra Janab Tauqeer Zaid sb say sar jata hai. Main unka mashkoor hoon ke unhon nay meray misre ko tarah banaya aur aap sab ka mamnoon hoon ke itni achhi aur mukhlis ghazalon kay saath usmein shareek huey.
      MUSLIM SALEEM

No comments:

Post a Comment