Tuesday, 22 October 2013

NAZRANA-E-AQEEDAT BA-KHIDMAT MOHTARAM MUSLIM SALEEM SB : Tarique Muhiuddin, Patna India


Ik meer-e-kaarwaaN hain, adab ke hainshahsawaar

Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar

Har soo jahaan mein chalti hai unki higuftugoo

Phailee hi unke kaam ki shohrat bhi chaarsoo.

Posheeda jo adab main hai sab hoga be-naqaab

Aflak pay hua hai namoodaar Aaftaab.

Unke hi dar pe meri jabeeN jhuk rahi haikyooN

Qadmon pay unke jaa ke nazar ruk rahi haikyooN

Urdu zabaaN mein ek dhadakta hua hai dil

Gulhaay-e-rang-o-boo ka haishehkaar-e-mustaqil.


Ab faiz unke dar se yahaaN paa rahe hain hum

Apnaa naseeb aise bhi chamka rahe hain hum.

Afkaar dilnasheeN hain, takhayyul hailaajawaab

Jinki zia se ho gaye zarray bhi aftaab

Dasht-e-junooN ka ek musafir safar mein hai

Manzil ko hai talaash koi rahguzar mein hai.

Main nay padha hai Meer ko Ghalib ko Zauq ko

Shair ek aur azeem mila apnay shauq ko

Unka kalaam rahat-e-qalb-o-jigar bhi hai

Goya kay ik muraqqa-e-auj-e-bashar bhi hai.

Urdu bhi jalwa-gar hai yahaaN tamkanat ke saath

Simti hai unki tarz-e-nigaarish mein kaayenat

Wusa’at nazar ki maaya hai zahn-o-shaoor ka

Ik mustaqil zareeya hai kaif-o-suroor ka

Noke qalam se lete hain khanjar ka kaam bhi

Urdu kay haq main hain wo mojahid mudaam bhi.

Har sher bolta hai ghazal bolti hui

Koi na koi raaz-e-nihaan kholti hui.

Urdu ko phir say bakhsi hai tanweer yaa khuda

Unki badha day aur bhi tauqeer yaa khuda

Muslim Saleem aap ko doon main khiraaj kyaa

Tarique sukhan kay kooche main khud main hoonik gadaa
*******************************************
FACEBOOK COMMENTS
*********************************************
· 
· 
 Ik meer-e-kaarwaaN hain, adab ke hain shahsawaar
Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar……..

Amazing MATLA*...... Is matlay mein Shaair ke Mission, Maqsad-e-Zeest ko Apnay kamaal-e-hunar aur parwaz-e-takhayyul say jo dilnasheen Aks-o-Rangat pesh kiya hai ham Shaair say Uns-o-Aqeedat ka isay ik Be-misl aur Naayaab Andaaz hi kahenge Janab......

Afkaar dilnasheeN hain, takhayyul hai laajawaab
Jinki zia se ho gaye zarray bhi aftaab..................

Mausoof nay Adabi-khidmaat aur Tashheer-e-Urdu ke liye jo Aqdaam Uthaaye hain wo qaabil-e-shataaes hai..........Be-shumaar blogon ki madad say anginat Gumnaam Shoaraa-o-Adba'a ki Takhleeq ko be-laus Manzar-e-Aam pay laakar un shakhsiyaat ko In Dino Adabi-pehchaan aur mo'atbar Maqaam say nawaaz rahe hain.................

Main nay padha hai Meer ko, Ghalib ko, Zauq ko
Shair ek aur azeem mila apnay shauq ko..............

Yhaan Tarique M. sahib Apne Tajziya aur Tajurbaat ki benaa par yeh kehnay say gurez naheen kartay ke..... Meer*, Ghalib* aur Zauq* ko padhnay ke baad Daur-e-Haazir mein apna to Shauq-e-Nazar sirf Is azeem shaair Janab Muslim* par markooz hota hai.................

Har sher bolta hai ghazal bolti hui
Koi na koi raaz-e-nihaan kholti hui.
Waaqae baday qareenay say Mohtaram Muslim* Saleem sb. ke makhsoos Lab-o-Lahjaa aur is Infaraadi Andaaz-e-Sukhan par Janab Tarique M. sb. nay kya khoob girah lagaya hai…...
Sir Syed-Day ke hawalay say Apney haaliya Qtaa* ke zariye Mohtaram Muslim* nay Aligarh say Apni wabastagi aur nisbat ka naadir suboot jahaan walon ko day diya hai…..
Pilaai hai jo Syed* nay wahi mai pee rahaa hoon main...

Aligarh bolta hoon main, Aligarh jee raha hoon main
· 
· 
 Awesome...... No doubt, your thoughts have the nerve of poetry by touching the both, heart & soul....... made the whole atmosphere lively and dignified in view of properous days of human being on this earth .................. Unka kalaam rahat-e-qalb-o-jigar bhi hai

Goya kay ik muraqqa-e-auj-e-bashar bhi hai........................ Hats off to you, Janab Tarique Muhiuddin sb. for such a beautiful creation in honor to our renowned poet (Mohtaram Muslim Saleem sb.) of global fame.
· 
· 
Roma Rizvi Laffz ba laffz ..aik sachi tehreer. .. ap ki muhabbat aur khidmat sab ke liye aik misaal hai.... Allah ap ko mazeed kamyabiyan ata farmaye. ..
· 
· 
Mohtaram Hazraat Aap ko hamari yeh peshkash Acchi lagi shukriya. Janaab Muslim saleem sb. In bulandiyoN se kaafi buland hain. Mera qalam iss layeq nahi ke iss ka haq Ada ker sake. Yeh nazm meri khud ki post per bhi hai. Aali moqaam janaab mohtaram saleem sb ki khidmat mein do sher molaahza karen.
· 
 Fasahat mein balaghat mein talaaqat mein khitabat mein,

kare subhaan-e-vail aa ke tere dar ki darbaani.

Teri tahreer kyaa hai ik sabeel-e- jaam-e- kausar hai,

Teri taqreer kyaa hai ilm ke dariya mein tughyaani.
· 
· 
Faisal sb. Mohtaram saleem sb. in bulandiyon se kaafi buland hain. mera qalam iss layeq nahi ke iss ka haq ada ker sske. Aap tamaam hazraat ko meri yeh kavish Acchi lagi shukriya ek sher mohtaram janaab saleem sn ki khidmat mein arz kiiya hsi.
· 
Asangani Mushtaq dasht-e-jnoon ka ek musafir safar may hai ........ manzil ko hai talash, koyi rehguzar may hai......
· 
· 
Sayyed Fazal Gillani waah ,,,shaandaar khiraaj e tehseen hy
· 
· 
Mazhar Saleem Majoka DASHT E JANOON KA EIK MUSAFIR SAFAR MEIN HEY..........
· 
· 
Tajammul Kazi Khoob bohat khoob. .....
· 
· 
· 
· 
Yaqub Malik subhanallah
· 
· 
Saleem Shahzad Schaim Subhan Allah
· 
· 
Anjum Bashirch dashat janon ka ek musafar safer mein hy.........bohat umda lajawab
· 
· 
 اردو کو پھر سے بخشی ہے تنویر یا خدا ، ان کی بڑھادے اور بھی توقیر یا خدا ۔ بہت خوب ۔
·  · 
Dheeraj Mishra वाह
· 
Urdish Ehbab subhan allah buhat hi lajawab jazak allah dad ka khazana hazeer hey
· 
· 
Shaikh Sadique Zilly wah,,bahut hi khoobsoorat
· 
· 
Junaid Akhter Wah Tariq Sahab Wah
· 
· 
Zareena Khan Aap ke her .shair se aqidat ka izhaar ho rha hai bohat achha likha hai....aur bohat imandari se likha hai aapne unki shakhsiyat ki sachhi terjumani ki haj jik wo mostahaq hai
·  · 
Salman Abid HQ b'HQ daar Rseed !! janab TariQ sahib, bey misaal likha hai aap ne, Samunder ko Koozey mei bnd krney ki tarah !!
· 
· 
Anuradha Arora MASHAALLAAH.....SUBHANALLAAH.....mere paas to taareef ke liye alfaz hi nahin bache......Honestly..I am short of words...rather speechless.....totally.....kya shaandaar jazba hai aur kis qadar dilchasp/mesmerizing andaz-e-bayan........Saleem Saheb Salamat Rahiye hamesha hamesha.............
·  · 
 Wahhhh ji khooob izhar e aqeedat ...Qabil e tehseen..... Kia kehnay Muslim Saleem sb k....
· 
Tarique Mohiuddin sb nai boht Ji khoobsoorat nazrana e aqidat likhha hai jiski jitni bhi tareef ki jaye kum hai,yeh tau haqiqat mein azeem shyr hein bharpur dad daita haun
· 
wah bhai wah tariq mohiudddin sahab muslim saleem sahab k leeay aap nay jin khayalat ko shairy ka rang dya hay woh hur tarah sey qabil tareef hay.Allah aap ko jaza e khair dey
· 
 Noke qalam se lete hain khanjar ka kaam bhi Urdu kay haq main hain wo mojahid mudaam bhi. ********** LAJWAAAAAB
· 
Jnb Tarique Muhiuddin shb ne Behtreeeeen aqidat peshki hai aapki ke khidmat mein....
· 
Bht khoob wah
· 
· 
boht khob janab wah
· 
· 
Khoob hai Tarique Muhiuddin ka nazr e khuloos
Sab ke manzoor e nazar haiN aaj kal Muslim Saleem
· 
Subhan Allah.
· 
wah buhot khoob wah
·  · 
Kya Kehna Wah Wah Wah
· 
· 
bemisal alfaz
· 
· 
bahut Khoob or bahut acchhaa kalaam. mubaarak baad.
· 
· 
waaah waah.... behtareen nazraana hy Mashallah... bohut khoobsurat. aur Muslim Saleem sahib ki khidmaat bila shuba is sey b kahen barh ker hain... hum khush naseeb hain k dor e hazir k aik azeem shaair hamaarey halqa e ahbab mein hain.
· 
· 
HAQ HAQ HAY---SUCH SUCH HAY---\AAYSA PIARA HADIA-E-TEHNEET--DIL KHUSH KER DIA--MUBARAK H0
· 
· 
muslim saleem bhai nawazish, buhat khubsurat kalam parha, aur buhat khoob, her shair bolta hai, ghazal bolti hui, koi na koi raaz e nihaan kholti hui, wah
· 
· 
wah Bahot khoob lajwab.
· 
· 
lajawab
· 
· 
MashaAllah Tarique Mohiuddin saib shaandaar nazaran e aqeedat pesh kiya ,,lajwaab ,,Allah tala Aap ko Urdu adaab ka khadim aur sukhun ki bulandyoon se nawaze aur aap ka nazriyaa sheroon main betahashaa roshinii farham ho jo roshni aap apne shreoon main byaan kar sakein Ameeen Suma Ameeen .....
· 
· 
Bahut khoob janaab her rang mein lajwaab hsin.
· 
· 
Bahot umda
·  · 
Subhaan Allah kya nazraana e aqeedat hay. Bemisaal, laajawaab
· 
 Janaab Tarique Mohiuddin, sahb bahot khoob kalaam hay. Bahot si daad aap donoo ke liye
· 
muslim saleem sahab kee ye kawish dilkashaur pur asar hai....poori parhne ke bad mazeed arz karoonga
· 
 Janab alfaz nahi jisse yaha tareef kar saku.par 2 alfaz me itna kahunga Aap salamat rahein Urdu Adab bhi sath hai
 Bout umda Adabi Kavish aik shaandaar nazarana e aqeedat .......baraaye nazar azar kiya Muslim Saleem sir ko....Aur hum tasleem karte hain Muslim Saleem saib ko Urdu zubaan pe qudarat hai ...mashaAllah.....Aap ke ghazloon ka zakhera qudrat zubaan ka aisa saboot hai......Main Tariq saib ke haque main dua karta hoon ke aap ke kaalam main Allah betahashaa roshini farham kare aur aik khadim e adab ki bulandyoon se nawaze.....Ameen suma Ameen..............
waah kaisi zabaan pay qudrat hai
jiske baais ghazal main nudrat hai
mu’tarif hai zamaana" Muslim" ka
yeh fasaana naheen, haqeeqat hai...................Faisal Nawaz.........
· 
· 
Subhaan Allah, Bemisaal nazraana e aqeedat hay. bahot khoob kalaam hay.
· 
 ماشا اللہ۔۔۔۔۔۔۔شاندار خراج ِ عقیدت۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کیا کہنے
· 
· 
wah,,bahut hi khoobsoorat
· 
KYA KEHNAY SIR ,WAAH,WAAH.
· 
· 
 bahot khoob.
· 
· 
Umdagi ka moraqqa hai
· 
Bht Alla SIR

No comments:

Post a Comment