Bhopal meiN hai jashn jo Muslim Saleem ka
Hai Aiteraf un ke yeh kaar e azeem ka
Dehli meiN aa ke us ne khabr is ki mujh ko di
Ab arsh par dimaagh hai mauj e naseem ka
Rakhsh e qalam ke mere woh mahmez ban gaii
Woh kar rahi thi farz ada ek nadeem ka
Khamosh kyoN ho us ne kaha tum bhi kuchh likho
Kar lena zikr baad meiN daur e qadeem ka
Khidmatguzar e Urdu haii daur e jadeed meiN
Hai ilm kuchh to kaam karo ek aleem ka
MaiN ne kaha ki kaun use janta nahiN
Farzand e neknam hai wahid Saleem ka
“Khayyam e Nau” unhiN ki to vird e zabaaN hai aaj
Un par karam ho khuld meiN Rabb e Kareem ka
Bete pe baap ka hai asar kar raha hai jo
Hai dilnasheeN namoona yeh zauq e Saleem ka
No comments:
Post a Comment