Sunday, 15 November 2015

Baaz aa jao: Muslim Saleem


MUSLIM SALEEM
UAA DETE HAIN JO SCHOOL KE MASOOM BACHCHON KO
FANAA KAR DETE HAIN TAYYARAY JIN KE ASPATALON KO
JINHON NE MAAR DALA HAI KARORON BAY GUNAAHO KO
BILAD E MAGHRIBI AB RO RAHAY HAIN APNI JAANUN KO
BATAYEN MASHRIQ E WASTAA MEIN UN KA KAAM HI KYA HAI
BANAYA HAI WAHAN KA MUNTAZIM AUR MUHTASIB KIS NE
YEH BEHTAR HAI KE BAZ AAJAYEN BAYJA DAKHAL DAY NE SE
YEH SAB SHAITAN KE CHELE YEH ISRAEL KE CHAMCHAY

Friday, 23 January 2015

TAQLEED LAAZIMI HAI: MUSLIM SALEEM

qata taqleedMUSLIM SALEEM
HAM RAAH-E-NABI (SAW), RAAH-E-SAHABA PA CHALEN TOU
DAR ASL HAI YEH HUKM-E-KHUDAWANDI KI TAKREEM
ALHAMD MAIN “NEKON KI CHALAA RAAH” BATAA KAR
ALLAH NE DEE HAI HAMEN TAQLEED KI TALEEM

Sunday, 11 January 2015

Ibarat Ali Alvi "Talash" on Muslim Saleem



MUSLIM SALEEM MAUJOODA URDU ADAB KAY BALAND TAREEN SUTOON HAIN. AAP KEY ASHA’AR MAIN WO KAAT HAI JO HEERON KI KIRNO SAY PAIDA HOTI HAI. AAP KI SHAYERI MAIN AIK NAYA ANDAZ AIK NAI ROSHNI MILTI HAI. AAP KEY ASHA’AR MAIN TANZO MAZAH KA BHI SARMAYA MILTA HAI. SANJEEDA SAHYERI KI TARAH TANZO MAZAH KA UNSUR BHI NAYE RANG MAIN NAZAR AATA HAI..(IBARAT ALI ALVI “TALASH”, ITALY) FB ID Urdish Ehbab

Mohammad Naseem on Muslim Saleem


Wednesday, 7 January 2015

EK NAATIYA SHER: MUSLIM SALEEM


ek naatiya sher graphics.gifZAMANE MEIN HAIN JITNE MUSTAFA KO CHAHNAY WALAY
WAHI TO DAR HAQEEQAT HAIN KHUDA KO CHAHANAY WALAY
زمانے میں ہیں جتنے مصطفیٰ کو چاہنے والے
وہی تو درحقیقت ہیں خداکو چاہنے والے

Sunday, 4 January 2015

ID MILAD UN NABI MUBARAK; MUSLIM SALEEM

ek qata durood with graphics.gif

YAHI DUNIYA MAIN HAADI HAI
YAHI MAHSHAR KA SAATHI HAI
ISAY HAR DAM PARHO MUSLIM
DUROOD-E-PAAK SHAAFI HAI

Sunday, 16 November 2014

Allama Kausar Siddiqui on Muslim Saleem

Allama

Thursday, 6 November 2014

MADAR-E-MEHRBAAN HAI AMU


MADAR-E-MEHRBAAN HAI AMU

MUSLIM SALEEM (6 NOVEMBER 2014 )
MAAYA-E-IZZ-O-SHAAN HAI AMU 
MERA SARA JAHAN HAI AMU 
MEIN JAHAN BHI HOON JEE RAHA HON ISAY
YANI MUJH MEIN RAWAN HAI AMU 
IS MEIN TABAAN HAIN SENKRON SOORAJ
ILM KI KEHKASHAN HAI AMU 
IS KI SHAFQAT MEIN BHAID NAHEEN
MADAR-E-MEHRBAAN HAI AMU 
NAZISH MULK, SHAN-E AALAM HAI
JISM DUNIYA HAI, JAAN HAI AMU 
TOO BHI MUSLIM KHIRAAJ DAY USKO
KYUNKAY TERI BHI MAAN HAI AMU 

Sunday, 22 June 2014

Poetic Compliments On Jashn e Muslim Saleem At Bhopal by Ahmad Ali Barqi Azmi (30th Dec 2012


jashn barqiBhopal meiN hai jashn jo Muslim Saleem ka

Hai Aiteraf un ke yeh kaar e azeem ka

Dehli meiN aa ke us ne khabr is ki mujh ko di

Ab arsh par dimaagh hai mauj e naseem ka

Rakhsh e qalam ke mere woh mahmez ban gaii

Woh kar rahi thi farz ada ek nadeem ka

Khamosh kyoN ho us ne kaha tum bhi kuchh likho

Kar lena zikr baad meiN daur e qadeem ka

Khidmatguzar e Urdu haii daur e jadeed meiN

Hai ilm kuchh to kaam karo ek aleem ka

MaiN ne kaha ki kaun use janta nahiN
Farzand e neknam hai wahid Saleem ka
“Khayyam e Nau” unhiN ki to vird e zabaaN hai aaj
Un par karam ho khuld meiN Rabb e Kareem ka
Bete pe baap ka hai asar kar raha hai jo
Hai dilnasheeN namoona yeh zauq e Saleem ka

Saturday, 7 June 2014

MUSLIM SALEEM GHAZAL - PARI KA US KAY UNDAR SE NIKALNA

PARI KA US KAY ANDAR SE NIKALNA
JAHAAN-E-KHWAAB BISTAR SE NIKALNA
DAHAKTI RET PAR PHIR MAIN NAY DEKHA
SAMANDAR MERI THOKAR SE NIKALNA
JO MUMKIN HO BUJHA DAY PYAAS MERI
BAJA HAI AAP GAUHAR SE NIKALNA
NA JAANAY KIS JAGAH MIL JAAYE DAHSHAT
DUA'EN PARH KE SAB GHAR SE NIKALNA
BHARAY GA PAIKAR-E-TASWEER MAIN KHOON
MAHABBAT KA TO MANZAR SE NIKALNA
JO MUMKIN HO TO PHIR DUNIYA HAI JANNAT
NADAAMAT NOK-E-KHANJAR SE NIKALNA
AJAB ASHA'AR MUSLIM NAY KAHE HAIN
KE JAISE AAB PATTHAR SE NIKALNA

Wednesday, 9 April 2014

MUSLIM SALEEM - Do ashaar

ULFAT MAIN MUBTALAA THAA TO MUHLAT NAHEEN MILI
 

NAFRAT KE WAASTE MUJHAY FURSAT NAHEEN MILI

 

AAKHIRI HAYAAT PAAYEE JAHANNAM KI AAG MAIN


KHUD KUSH NAY LAKH CHAHA, SHAHADAT NAHEEN MILI

Ghazal - Muslim Saleem

SHAAKH-E-IMKAAN PAR GUL KHILA HAI
 
KOI HANS KAR MUJHAY DEKHTA HAI


DAUR-E-HAAZIR KA YEH MAAJRAA HAI
 
DAHN-E-SHAITAAN PE NAAM-E-KHUDA HAI


MUNTHAB KHUD ANDHERA KIYAA HAI
 
AUR PHIR RAUSHNI SE GILAA HAI


SAANP KA AB TO BACHNAA HAI MUSHKIL
 
KOI INSAAN USAY DAS GAYAA HAI

Thursday, 6 February 2014

Muslim Saleem – ghazal – adaz hain haan kehne ke….


Muslim Saleem Ghazal Feb 4, 2014 
Andaaz hain haan kehne ke aakhir to sabhi naa
Main haan hi samajhta hoon jo kehta kabhi naa
Ai zeest miri tu isi ummeed pay jeena
Utray ga haqeeqat main kabhi khwaab ka zeena
Sairaab ho ye rooh to pur noor ho seena
Ham par bhi meharbaan ho mahabbat ki haseena
Har dam ho khayaal uska mujhe roz-o-shabeena
Har maah ho us maah ki ulfat ka maheena
Muslim tiray maddah hain naa-beena-o-beena
Khoob aata hai izhaar ka tujhko bhi qareena

Monday, 13 January 2014

NAZRANA-E-AQEEDAT BARAI MUSLIM SALEEM SB: AUWWAL SANGRAMPURI

NAZRANA-E-AQEEDAT BARAI MUSLIM SALEEM SB
AUWWAL SANGRAMPURI
JEDDA, SAUDI ARABAI
HUSN-E-SUKHAN MAIN JO YE TIRAY INSIJAAM HAI
SHAHID HAI, KOI BHI NA TIRAA HAM-MAQAAM HAI
SAARE FUSOON-NIGAAR YE KARTE HAIN AITIRAAF
AB REEKHTE KA TOO HI JAHAAN MAIN IMAAM HAI
BARQ-E-SUKHAN HAI TERI ZIYAA-BAAR HAR TARAF
DAANISH MAIN TERI MEHR-E-SUKHAN TEZ-GAAM HAI
AHL-E-ADAB NAY TUJHKO WO MANSAB ATAA KIYA
SHE’RAA KO JO NUJOOM MAIN HAASIL MAQAAM HAI
TERAY SUKHAN KI FIKR SAY HAM PAR AYAAN HAI YEH
BAAM-E-FALAK KO CHOOMTA TERAA KALAAM HAI
MUSLIM SALEEM SAHIB-E-QALB-E-SALEEM HAIN
UNKA RUKH-E-HASEEN BHI MAAH-E-TAMAAM HAI
MERI DUA HAI HAR KOI HO US SAY MUSTAFEED
URDU ZABAAN PAY AAP KA JO FAIZ-E-AAM HAI
TERAY MURASHSHAHAAT-E-QALAM HAMARA DIL
DAST-E-NAZAR SAY CHOOM KAY KARTA SALAAM HAI
*******************************************
SHE’RAA= NORTH STAR
Auwwal design 1
About these ads

Friday, 10 January 2014

GRAND FELICITATION TO DR SHAHZAD RIZVI AT BHOPAL Part 1

ڈاکٹر شہزاد رضوی اور امریکہ میں اردو ادب کی قدآور شخصیت :مسلم سلیم
بھوپال کے فر زند کو پروفیسر آفاق احمد کا بھی خراج: شاندار استقبالیہ منعقد

بھوپال: ۲۹؍ دسمبر ۲۰۱۳واشنگٹن میں مقیم مدھیہ پردیش اور بھوپال کے عظیم فرزند مشہور شاعر اور ناول نگار ڈاکٹر شہزاد رضوی کو ہم سخن ویلفئر سوسائٹی و کھوج خبر نیوز ڈاٹ کام کی جانب سے شاندار استقبالیہ دیا گیا۔ اس موقعہ پرجناب مسلم سلیم نے ڈاکٹر رضوی کو امریکہ میں اردو ادب کی قدآور شخصیت سے تعبیر کیا۔ مہمانِ خصوصی پروفسر آفاق احمد نے بھی ڈاکٹر رضوی کی ادبی خدمات کو سراہا۔ اس سے قبل مسلم سلیم اور پروفسر آفاق احمد نے ڈاکٹر شہزاد رضوی کو ’’فخر بھوپال ‘‘ ٹرافی پیش کی۔ ہم سخن کے سکریٹری جناب عبدالاحد فرحان نے ڈاکٹر رضوی کو منظوم سپاس نامہ پیش کیا دہلی کے مشہور شاعر ڈاکٹر احمد علی برقی ؔ اعظمی نے تحریر کیا تھا۔ ڈاکٹر رضوی کی اہلیہ محترمہ رابعہ رضوی اور دختر ممتاز رضوی بھی اسٹیج پر موجود تھیں۔ پروگرام کا آغاز گلوکار جناب یعقوب ملک نے مسلم سلیم کی تحریر کردہ نعت سے کیا۔
جناب مسلم سلیم نے کہا کہ فی زمانہ ایک خانوادہ امریکہ میں اردو ادب کی سب سے زیادہ خدمت انجام دے رہا ہے جسمیں ڈاکٹر شہزاد رضوی ، انکی ہمشیرہ ڈاکٹر عمرانہ نشتر خیرآبادی ، ناہید نشترخیرآبادی اورر خسانہ وسیم اور برادرِ خورد سید ضیا خیرآبادی شامل ہیں۔ان کے والد یادگار حسین نشتر خیرابادی، والدہ محترمہ سیدہ سرفراز فاطمہ نشتر اور ہمشیرہ سیدہ سہیلہ خیرآبادی بھی اچھے سخنور تھے۔ڈاکٹر شہزاد رضوی ۱۹۶۴ء میں عالم شباب میں امریکہ چلے گئے۔ وہاں انہوں نے مختلف یونیورسٹیوں میں ا علیٰ تعلیم حاصل کی اور پی ایچ ڈی کی ڈگری حاصل کرکے پروفیسر ہوگئے۔ اب وہ امریکی شہریت حاصل کرکے واشنگٹن میں اپنے اہل وعیال کے ساتھ عرصہ سے مقیم ہیں۔
جناب مسلم سلیم نے بتایا کہ اردو کے علاوہ ڈاکٹر رضوی انگریزی میں بھی شاعری کرتے ہیں۔ آپ نے انگریزی میں کہانیاں اور ناول لکھنے میں بھی کافی شہرت حاصل کی ہے اور ان کے ناول Kahany.orgپر دیکھے جاسکتے ہیں یا amazom.comسے دستیاب ہوسکتے ہیں۔جناب مسلم سلیم نے اپنے مقالے میں امریکہ میں اردو ادب اور تدریس پر بھی سیر حاصل روشنی ڈالی۔
ڈاکٹر شہزاد رضوی کی حیات و کمالات پر روشنی ڈالتے ہوئے پروفیسر آفاق احمد نے بتایا کہ ڈاکٹر رضوی نے دنیا کی بڑی بڑی یونیورسٹیوں میں تعلیم حاصل کی ۔ انہوں نے موسم گرما کے دوران آکسفورڈ، سوربون(فرانس) اور لندن میں جاکر کورس کئے اور اسی دوران پورے یوروپ کا سفر بھی کیا۔صدر ریگن کے دوران حکومت ڈاکٹر رضوی نے ایوان صدر میں مترجم کی خدمات انجام دیں اور مسز ریگن کے ساتھ بحیثیت مترجم ان کے ہوائی جہاز میں میں سفر کرنے کا موقع بھی ملا، اس دوران میں امریکہ کی مشہور شخصیتوں، جیسے کہ ہنرسی کسنجر، افسران اور اداکار ان سے ملاقات ہوئی۔
پروفیسر آفاق احمد نے بتایا کہ ڈاکٹر شہزاد رضوی وہ اپنی شاعری میں روایتی موضوعات، واعظ، ساقی اور محبوب کی جفاکاری پر نہیں لکھتے۔ ان کی شاعری کے موضوع زندگی اور عالمی مسائل ہوتے ہیں جن سے آج انسان دوچار ہے۔ وہ اپنی شاعری سے مذہبی تفریق اور تعصب ، نسلی امتیاز اور قبائلی اور قومی رسہ کشی اور تصادم کو ختم کرنا چاہتے ہیں۔ ان کی یہ بڑی آرزو ہے کہ دہشت گردی ہمیشہ ہمیشہ کے لئے ختم ہوجائے اور دنیا کے لوگوں میں ہم آہنگی اور بھائی چارہ پیدا ہوجائے۔ ڈاکٹر شہزاد رضوی صاحب اب تک ۱۲؍ ناول انگریزی میں تحریر کر چکے ہیں جنکے عنوان یہ ہیں۔.ان میں سے دو ناولوں ’’د ا لاسٹ ریسیڈینٹ ‘‘ اور ’’بہائنڈ د ا ویل‘‘ بھوپال کے پس منظر میں تحریر کئے گئے ہیں۔لیکن یہ مکمل طور سے فکتشنل ہیں اور انکابھوپال کے نوابی خاندان سے کوئی تعلق نہیں ہے۔
اپنے خطاب میں ڈاکٹر شہزاد رضوی نے اراکینِ ہم سخن ویلفئر سوسائٹی و کھوج خبر نیوز ڈاٹ کام کا شکریہ ادا کیا۔ڈاکٹر رضوی نے بتایا کہ ان کی پیدائش۲۸فروری ۱۹۳۷ء لشکر گوالیار میں ہوئی جہاں ان کے دادا خان بہادر حضرت مضطر خیرآبادی ایک زمانے میں جج تھے۔ مضطر خیرآبادی علامہ فضل حق خیرآبادی کے نواسے تھے ۔آپ کے خاندان کا ہندوستان کی جنگِ آازدی میں بھی اہم حصہ رہا ہے۔ آپ کے پرنانا حضرت فضلِ حق خیرابادی نے انگریزوں کے خلاف زبردست مہم چلائی تھی جسکی پاداش میں انھیں کالے پانی کی سزا دی گئی تھی اور وہیں انڈومان میں آپ کا انتقال ہو ا تھا۔ڈاکٹر رضوی کی والدہ محترمہ سیدہ سرفراز فاطمہ نشتر کا تعلق بھوپال کے ایک جاگیردار خاندان سے ہے۔ ڈاکٹر رضوی نے حمیدیہ کالج بھوپال سے انگریزی ادب میں ایم اے کی ڈگری حاصل کی۔ اس کے بعد کچھ عرصہ سیفیہ کالج میں لیکچرر رہے۔ اس کے بعد ایک اور ایم اے کی ڈگری انگریزی ادب میں علی گڑھ مسلم یونیورسٹی سے حاصل کی اور پھر امریکہ چلے گئے۔
اس موقعہ پر ڈاکٹر شہزاد رضوی صاحب نے اپنی متعدد نثری نظموں سے بھی سامعین کو نوازا۔ ڈاکٹر رضوی نے مسلم سلیم کو اردو کے ایک بڑے شاعر اور ادیب سے تعبیر کیا۔ انھوں نے کہا کہ جناب مسلم سلیم انٹرنیٹ کے ذریعے بھی اردو کی بیش بہا خدمت انجام دے رہے ہیں۔
اس دوران رائسین سے تشریف لائے جناب حاجی میاں نے ڈ ایک بیش قیمت قلم اور پروفیسر مجید خاں و ڈاکٹر اعظم نے اپنی کتابیں اکٹر شہزاد رضوی کو پیش کیں۔
شروعات میں کھوج خبر نیوز ڈاٹ کا م کے ایڈیٹر جناب عطاء ا ﷲ فیضان ، ہم سخن کے صدر جناب شارق علی ، جناب بسید فیضان علی، ڈاکٹر انیس سلطانہ ، محترمہ رشدہ جمیل اور جناب مظفر اقبال صدیقی نے مہمانان کی گلپوشی کی اور ہم سخن کے سکریٹری جناب عبدالاحد فرحان نے ڈاکٹر شہزاد رضوی کو منظوم سپاسنامہ پیش کیا۔ جناب سلیم قریشی صاحب سے کہ اظہار خیال فرمایا۔
تقریب کی نظامت خوش فکر شاعر اور ادیب ڈاکٹر اعظم نے فرمائی۔ آپ ہی نے اظہار تشکر بھی کیا۔

Monday, 9 December 2013

MUSLIM SALEEM - AFSAANA - NANGI SADAK PAR - AWARDED IN AMU

MY AFSAANA - NANGI SADAK PAR WAS AWARDED IN A COMPETITION AT AMU IN 1972. THE PRIZE WAS GIVEN AWAY BY ASMAT CHUGHTAI.

Saturday, 30 November 2013

NAZRANA-E-AQEEDAT BARAI MUSLIM SALEEM SAHIB - SHAIR: TARIQUE MOHIUDDIN, PATNA, BIHAR, INDIA

 KAARWAN-E-ADAB
PAASBAN-E-ADAB
 DASTAN-E-ADAB
TU NISHAN-E-DAB 
SHAIR-E-NEK NAAM
TUJHKO LAKHON SALAAM
 TERI TAHREER KYA
TERI TAQREER KYA
TERI TAFSEER KYA
TERI TADBEER KYA
 EK KAUSAR KA JAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
 TU NAY RAKKHI HAI LAAJ
 SAR PE URDU KE TAAJ
MUHTARAM TU HAI AAJ
 PESH HAI YE KHIRAAJ 
TERA UNCHA MAQAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
SHAM’A BUJHTI RAHI
URDU LUTATI RAHI
JIS NE AAWAZ DI
WO TERI ZAAT THI
 TU MUJAHID MUDAAM
SHAIR-E-NEK NAAM 
MEER-E-SAANI HAI TU
 ROOD-E-MAANI HAI TU
JAWIDAANI HAI TU
EK KAHANI HAI TU  
TU GHAZAL KA IMAAM
 SHAIR-E-NEK NAAM
  BA AQEEDAT JABEEN, 
YOUN HI JHUKTI NAHEEN.
 HAI YEH DIL KO YAQEEN
AI MERE HUM NASHEEN
 KUCHH HAI RAAZ-E- DAWAAM,
 SHAIR-E- NEK NAAM.

Sunday, 24 November 2013

MUSLIM SALEEM – QATA – NOVEMBER 23, 2013

muslim saleem qata november 23, 2013 UrduMUSLIM SALEEM – QATA – NOVEMBER 23, 2013


KOI AB BAY SABAB MILTA NAHEEN HAI
WO AAYA HAI TO KOI KAAM HOGA!
LABON PAR YAA KOI FARYAD HOGI
NAHEEN TO KUCHH NAYA ILZAAM HOGA


Thursday, 7 November 2013

Article based on Muslim Saleem’s she’r by Zulqarnain Gillani

MUSLIM SALEEM KE SHE’R PAR SUDAIF GILLANI KA MAZMOON

 JANAB ZULQARNAIN (SUDAIF) GILLANI SB KOHNA MASHQ COLUMN NAWEES AUR SHAIR HAIN. AAP NAY MERA EK SHER “BACHCHON KO HONAY DEEJIYE EHSAAS DHOOP KA…….NASHVO NUMAA NA ROKIYE, SAAYA NA KEEJIYE KI BUNIYAD PAR SER HAASIL MAZMOON TAHREER KIYA HAI JO ROZNAMA SUBH-E-WATAN MAIN SHAYA HUA HAI. SUDAIF SB KA SHUKRIYA ADAA KARTE HUE MAZMOON AAP KI KHIDMAT MAIN PESH HAI.
Sudaif Zulqarnain Gillani

GREAT POET DR. AHMAD ALI BARQI AZMI PAYS TRIBUES TO MUSLIM SALEEM’S PARENTS


Ye aks waalidain ke Muslim Saleem Ke
Duniyaa-e-rang-o-boo main hain ek unki yadgaar
Thay waalid unke ek adeeb-e-sukhan shanaas
Muslim Saleem jinke hain farzand-e-honahaar
Umme Habiba waalida unki theen paakbaaz
Farzand jinke aaj jahaan main hain naamdaar
Hain apnay khandaaN ki wiraasat ke wo amen
Wird-e-zabaaN hain aaj sabhi jinke shahkaar
Waalid thay unke Farsi-daani main baa-kamaal
“Khayyam-e-Nau” say jinka tabhhur hai ashkaar
  • Khayyam-e-Nau” ka Muslim Saleem sb ke waalid nay Dr. Saleem Wahid Saleem sb nay Urdu main manzoom tarjuma kiya hai jise Saanjh publications Lahore nay shaya kiya hai.
  •  
ACKNOWLEDGEMENT (picture of Muslim Saleem, Dr. Saleem Wahid Saleem sb  and BegumUmmeHhabiba sahiba has been designed by noted poet and graphic artiste janab Mohd. Aleemullah Khan Waqaar sb.

Wednesday, 6 November 2013

Izhar-e-tahniyat barai Muslim Saleem saheb: Ahmad Ali Khan (Riyad, KSA)

NIKHARTI JAAYE HAI URDU,,,,,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,,
GHAZAB HI DHAAYE HAI URDU,,,,,, DUA-E- MUSLIM SAY,,

JAMAAYA DERAA HAI JAB SAY DAYAAR-E-MUSLIM MEIN,,
SA’NWARTI JAAYE HAI URDU,,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,,

KAHEEN NA THEHRE HAI AB RAAH MAIN TARAQQI KI
NA LADKHADAAYE HAI URDU,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,,

ZABAAN KI CHAASHNI,,,, ZEENAT BLOGON PAR DEKHEN,,
CHAMAK DIKHAAYE HAI URDU,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,,

HAR EK MAZHAB-O-FIRQE KE IS GULISTAAN MAIN
NIKHAAR PAAYE HAI URDU,,,,,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,,

HAI TEZ BAAD-E-MUKHAALIF BAHUT MAGAR AHMED*
QADAM JAMAAYE HAI URDU,,,,,,,, DUA -E- MUSLIM SAY,

Monday, 4 November 2013

MUSLIM SALEEM DO GHAZLA – DUA AUR HASRAT


Do ghazla October 30, 2013


(1) DUA
UKHOOWAT KA WAHAAN SAMAAN KAR DAY
YAHI US MULK KI PEHCHAAN KAR DAY
JO DOOBA HAI ABHI ZULM-O-SITAM MAIN
USAY KHUSHIYON KA PAKISTAN KAR DAY
UGAYN ABJAD KAY GUL BOOTAY JAHAAN PAR
TU HINDOSTAAN KO URDUSTAAN KAR DAY
AZAAB-E-JAAN JO GORAY BAN GAYE HAIN
TU UNKO NAZR-E-GORISTAN KAR DAY
MAIN MUSLIM HOON MAGAR BHATKA HUA HOON
BAHUT MUHKAM MERAA IMAAN KAR DAY
(2)
HASRAT
KHATAA MABOOB KE AUSAAN KAR DAY
GHAZAL MERI USAY HAIRAAN KAR DAY
WO JADOO HO KE BAS EK JUMBISH-E-LAB
BAPAA JAZBAT KA TOOFAAN KAR DAY
MERAA NAGHMA HO PAIGHAM-E-MASARRAT
JO ZAIL ZEHN KA HAIJAAN KAR DAY
FAZAA MAIN AISE KAR JAYE SARAAYAT
KE PATTHAR KO BHI WO ZEE JAAN KAR DAY
KHUDAYA BAS YE HAI MUSLIM KI HASRAT
HAR IK INSAAN KO INSAAN KAR DAY

Monday, 28 October 2013

Tarique Mohiuddin tribute to Muslim Saleem

NAZR-E-MUSLIM SALEEM SB TARIQUE MUHIUDDNTARIQUE MOHIUDDIN’S TRIBUTE TO MUSLIM SALEEM
YEH WAQT, YEH ZAMANA HAI MUSLIN SALEEM KA,
AB HAR TARAF FASAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
KHANJAR KI NOK PER BHI YEH KAHTE HAIN HAQ KI BAAT,
HAR SHER QAATILAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
SAUDA, ZAFAR KE, ZAUQ KE SAB MU’TARIF HOYE,
HAR SHAKHS AB DEEWAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
QAARI KE DIL MAIN SEEDHI UTARTI HAI UNKI BAAT
WO RANG SHAYERANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
TAKH’EEL UNKI AUJ-E-SURAYYA SE HAI BULAND,
IK RANG AARIFAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
SADQE SALEEM WAHID* O ABDUL HAKEEM* KAY
ILM-O-ADAB GHARAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
TARIQUE KO ISHTIYAAQ-E-MULAQAAT HAI BAHUT
MADDAH GHAIBAANA HAI MUSLIM SALEEM KA.
++++++++++++++
1. Saleem Wahid* = Dr. Saleem Wahid Saleem waalid-e-mohtaram Muslim Saleem sb aur Khayyam-e-nau ke khaliq
2.  Abdul Hakim* = Dr. Khalifa Abdul Hakim = Dr. Saleem Wahid Saleem kea mm jinhon nay Fikr-e-Iqbal sameet Urdu main darjanon kitaaben tasneef keen.

NAZR-E-MUSLIM SALEEM SAHEB: AHMAD ALI KHAN, RIYAD, SAUDI ARABIA

Ahmad Ali Khan Muslim Saleem 3 HAR KAS-O-NAA KAS KO KAB MILTA HAI SHUHRAT KAA MAQAAM,,

KHIDMAT-E-URDU SAY PAAYA HAI YEH AZMAT KAA MAQAAM,,

DIL MAIN GHAR KAR LETE HAI, AISA HAI IZZAT KA MAQAAM

IS KAY AAGE KUCHH NAHEEN HAI JAAH-O-HASHMAT KA MAQAAM

RAAJ KARTI HAI DILON PAR GO NAHEEN HAIN TAKHT-O-TAAJ

KAM NAHEEN SHAHI SAY KUCHH BE-LAUS KHIDMAT KA MAQAAM

FIKR-O-FUN INSAAN KE CHHOO SAKTI KAISE AASMAN

SOCHIYE TO FIL HAQEEQAT HAI YEH HAIRAT KA MAQAAM

MERI QISMAT DEKHIYE HAIN RAHNUMA MUSLIM SALEEM

MAIN JAHAAN HOON AAJ AHMED, HAI SAADAT KA MAQAAM

Tuesday, 22 October 2013

NAZRANA-E-AQEEDAT BA-KHIDMAT MOHTARAM MUSLIM SALEEM SB : Tarique Muhiuddin, Patna India


Ik meer-e-kaarwaaN hain, adab ke hainshahsawaar

Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar

Har soo jahaan mein chalti hai unki higuftugoo

Phailee hi unke kaam ki shohrat bhi chaarsoo.

Posheeda jo adab main hai sab hoga be-naqaab

Aflak pay hua hai namoodaar Aaftaab.

Unke hi dar pe meri jabeeN jhuk rahi haikyooN

Qadmon pay unke jaa ke nazar ruk rahi haikyooN

Urdu zabaaN mein ek dhadakta hua hai dil

Gulhaay-e-rang-o-boo ka haishehkaar-e-mustaqil.

Thursday, 17 October 2013

‎YADEN ALIGARH KI @@ MUSLIM SALEEM


یادیں علی گڑھ کی از مسلم سلیم
  • علی گڑھ میری سانسوں میں بسا ہے/؍ علی گڑھ میرے منہ سے بولتا ہے ؍/ جہاں جسکے سبب محوِ ثنا ہے ؍/ مجھے وہ سب علی گڑھ سے ملا ہے/ ؍ دل اپنا چھوڑ آیا ہوں وہاں میں/ ؍ وطن بھوپال بے شک ہو گیا ہے/ ؍ وہ میرس روڈ ہو یا قاضی پاڑہ ؍/ یہ دل اب بھی انھیں کو ڈھونڈتا ہے/ ؍ گلی کوچوں میں اسکے آنا جانا وہاں چوبیس برسوں تک رہا ہے/ ؍ جو ایم۔اے۔او سے اے۔ایم۔یو ہوا ہے/ ؍ وہ سیّد کاثوابِ جاریہ ہے/ ؍ اسے کہتے ہیں مسلم یونی ورسٹی/ ؍ یہاں سے علم کادریا بہا ہے/ ؍ سٹی اسکول کا بھی ذکر کردوں/ ؍ کہ جواک درسگاہِ بے بہا ہے/ ؍ یہیں پہلی غزل میں نے کہی تھی/ ؍ یہیں سے میرے فن کی ابتدا ہے /؍ اک ایم۔اے۔یو برانچ اسکول بھی تھا/ ؍ جو اب تعلیمِ نسواں دے رہا ہے/ ؍ مرے استاد تھے قیّوم صاحب/ ؍ انھیں سے علم کا تحفہ ملا ہے/ ؍چلو اب بات کرلیں کیمپس کی/ ؍ علاقہ یہ بہت ہی پر فضا ہے/ ؍ بہاریں آرٹس فیکلٹی کی مسلمؔ/
    ؍ انھیں سے باغِ جاں اب تک ہرا ہے۔

    علی گڑھ سے ہمارے خانوادے کا رشتہ میرے پرنانا سید عبدالباقی سے شروع ہوا۔ وہ محمڈن اینگلو اورئینٹل کالج کے ابتدائی ۵ طلبہ میں تھے اور فارغ التحصیل ہونے کے بعد وہیں برسر کے عہدے پر فائز ہوئے۔میری والدہ بیگم امِّ حبیبہ سید عبدالباقی کے منجھلے صاحبز ادے سید عبدالاحد کی نورِ نظر

Saturday, 12 October 2013

Muslim Saleem ki ghazal - qamat-o-qad par sheri wa nasri tabsire

Muslim Saleem - ghazal

دریا ہے رواں خوں کا مرے قامت و قد میں
لے جانا لہو جب بھی کمی پاؤ رسد میں

کمرے میں ہوس کو تو چھپا سکتے ہو لیکن
یہ عشق ہے اور عشق ٹھہرتا نہیں حد میں

اک وہ ہی نہیں شہر میں مجرم تو بہت تھے
بس یہ ہے کہ وہ آگیا الزام کی زد میں

کیا اس نے چھپا رکھا ہے ہمدردی کے پیچھے
بو گل کی تو ہرگز نہیں گل پوش مدد میں

سرخی سے دمکنے لگا اشعار کا چہرہ
کچھ خون کیا صرف جو اظہار کی مد میں

تخلیق تو خود اپنی سند ہوتی ہے مسلم
نادان ہیں وہ لوگ جو الجھے ہیں سند میں
************ **************************************************
Facebook comments
**************************************************************
· 
· 
مسلم ہے بڑا پہلے ہی سے قامت و قد میں ۔ ۔ ۔ ۔
اب اور کیا ٹھہرائوں اسے منصب و حد میں ۔ ۔ ۔
۔میں بزم سخن میں اسے تسلیم کروں گا۔ ۔ ۔۔ ۔
آجائوں بلا سے کسی الزام کی زد میں ۔ ۔ ۔ ۔

SULMAN SADDIQUE’S TRIBUTE TO MUSLIM SALEEM

Sulman Saddique is an upcoming Urdu poet from Sialkot, Pakistan. He posted a qata on his facebook timeline recently. I came to know about it through another friend Anjum Bashrich sb several days later. Here is the qata:-
KHIDMAT-E-URDU HAI RAAH-E-MUSTAQEEM
ILM KA DARYA HAIN, LEHJA BHI HALEEM
SHAIRI AUR ZAAT DONON HAIN AZEEM
MOHTARAM WO DOST HAIN MUSLIM SALEEM